मंगलवार, 20 नवंबर 2012

mera pyar dhokebaaj

ye kahani meri hai mera name deepak dubey hai mai ek ladki ko bahut chahta tha jiska name babby dubey hai . ye meri sachchi kahani hai dosto. mai useko jaan se jyada chahta tha baat un dino ki hai jab mai +2 ki exam pass karke bhagalpur job kar raha tha hindustan news paper me . ye 2007 ki baat hai us samay babby bhi apne gudiya didi ke sath nagpur gayi hui thi mai usko bachapn se pyar karta tha lekin usko kuchh bata nahi pa raha tha darta tha ki kahi mere ghar walo ya apne ghar walo se bol diya to kya hoga . wo jab 12 me studdy kar rahi thi us samay uska exam tha aur uska file redy karna tha usne mujhe apna file taiyar karne ke liye diya tha us samay maine himmat karke uske note book pe apne pyar ka ijhar kar diya phir mai kahi na kahi dar raha tha ki kya hoga , lekin usne kisi ko kuch nahi bola . ek din ki baat hai aske chacha ki ladki ne mujhase kaha ki deepak bahiya mujhe kuch ladke collage me pareshan karte hai un logo ka name hai chandan prabhat mai bola koi baat nahi mai mil lunga unse wo log babby aur uski friend ko bhi pareshan karte the mai samajha diya tha to wo maan gaye is baar bhi samjha dunga . priya ne jakar ye baat babby ko bol . shaam ke sama mai cricket khel kar ghar aaraha tha to babby ne mujhe aawaj dekar bulaya aur boli ki tum dusro ki name liya karo lekin muhse mat badnaam kar aaj ke baad mujhse baat mat karna . mai to dar gaya tha mai bola thik hai . phir hamari 3 saal tak baat nahi hui mai din raat usase baat karne ko tadpta rahta tha . ye to hui bhagalpur jane se pahle ki baat ab aata hu bhagalpur ki oor mai bhagalpur se bhi nagpur call karta gudiya didi se baat karne ke bahane uski aawaj sunane kae liye. dashara ke samay mai ghar yani ki village aayaa tha aur wo bhi aayi thi . ek din wo apne mama ke yaha gayi hui thi mai shaam ko ghar aayaa tho maa boli tumhare ma'am ka phone aayaa tha tumse baat karna chahati hai maine puchha kaun si ma'am ka to maa ne bola koi roma ma'am ka tha  mai turnt jakar p.c.o se call kiya to ma'am ne kaha maine to call nahi kiya tha.



                  aaaajjj ke liye itna hi aage ki kahani ke liye kal milta hu dosto ...............................................20/11/2012 good day friends



good morning friends kahani ko aage lekar chalta hu jab mai roma ma'am se baat karke aayaa to ma ne kaha ki phone phir aayaa tha to mai pareshan ho gaya ki kaun se ma'am ka call hai maa ne kaha ki wo bol rahi thi ki sham ko 4:00 o'clock par phir call aayega . sham ko jab phone aayaa to mai us samay ghumne ja raha tha to dr. hriday narayan dubey ki wife awaj lagaya ki deepak tera phone hai . jab mai baat kiya to udhar se babby ke mama ki ladki gunjan ne kaha deeepak mai gunjan bol rahi hu mera number lo aur kahi call karo babby tumse baat karna chahti hai aur please mera name lekar mat baat karna waha par. kyoki waha par unke ghar ki share log ikattha huwe the mai number lekar p.c.o se call kiya to babby se gunjan ne baat karaya to babby ne ne kaha ki deepak tumne rinku se mere baare me kya kaha tha maine kaha ki maine to kuch nahi kaha hai phir gunjan ne phone lekar boli ki deepak bubby tumse pyar karti  hai kya tum bhi karte ho maine kaha ki yahi baat babby kah sakati hai phone do babby ko gunjan ne babby ko phone diya aur maine babby se puchha ki gunjan ne jo kaha wo sach hao to usne kaha gunjan bakwas kar rahi hai phir maine call kaat diya aur kuch dino ke baad mai bhagalpur aa gaya . waha se maine ek din babby ko call kiya aur babby se puchha ki mai tumse ek sawal puchhana chahta hu bas ha ya na me jawab den wo boli puchho maine kaha ki  kya tum mujhase pyar karti ho ki nahi pahle wo hich kichai baad me usne kaha ki ha mai tumhe pyar karti hu phir to mere khusi koi thikana nahi tha ki mai kya kru .....